Duniya ko is ka chehrah dhikhana padha mujhe,
pardah jo darmiyaan tha haathana padha mujhe,
ruswaiyon ka khauf se mehfil mein aaj,
phir is bewafa se haath milana padha mujhe..

Hum apni wafawon ka sila kis say mangtay
Hum ba wafa thay lakin wafa kis say mangtay

Jo kabhi teri nazar se guzar jaya kerte hain
woh sitare aksar toot ke bikhar jaya kerte hain

Aaj hum unhe bewafa bata kar aaye hain,
unke khaton ko pani mein bahakar aaye hain,
koi nikal kar pad na le unhe,
is liye pani mein bhi aag laga kar aaye hain?

Tere intezaar..meh yeh nazreeh jhuki hai,
tere cehree kii jhalak koh paneeh ke caah jagee hai..
na janu tera naam na?tera .pata ..
par dil meh anjanii seeh behchaini jagee hai?

Kaise bhula dun main teri yaad,
Ab to mumkin nahi bhulana teri yaad.
Kabhi the ham divana tere naam ke,
Aaj teri chahat ne kiya hame barbad?.

Dhoondh kar hum thak chuke,
Kaun si galiyon me jane tum kho gaye.
Ab aur kahan thikana hai is gareeb ka,
Jaakar kabr me khud hi hum so gaye.

Bhul jana yaron itna aasan nahi hota,
Zakhmon ke nishan mitana aasan nahi hota.
Mana ho jisne yaar ko khuda,
Unko chhor jana asaan nahi hota?

Aisi bewafaai ki ussne ,
mohabbat bhi badnaam ho gayi?.
apni mohabbat ki itni kimat vasool ki usne,
ke hamari arthi bhi nilaam ho gayi?

Dard ki harr ik hadd se ab guzar gaya hoo?n mai,
phir kabhi na simtunga you?n bikhar gaya hoo?n mai?