Sapna ek lekin mushkile hazar hai,
Tanhayi aur gum to mere bachpan ke yaar hai!..
Ab to yeh dil maut ke liye bhi taiyaar hai,
kyunki is zindagi me hume sirf bewafao se pyaar hai!!???Shayar Amaan

Humne manga tha saath unka,
Woh judai ka gam de gaye!!..
Hum unki yado ke sahare ji lete,
Par woh bhul jaane ki kasam de gaye!!???..

Pyar main dhokha khakar hum badnam ho gaye
Har gali har chauk par mere charche aam ho gaye
Har baji ki tarah pyar ki baji bhi hara
Bagair chale hi mere kadam bekam ho gaye
Aanshu ke sath-sath mujhe itni to khushi mili
Ki akhbar ki surkhiyon main mere bhi nam ho gaye
Hushn walon ko to koi dosh hi nahi deta
Apne upar hi sare ilzam ho gaye
Gam iss bat ka raha ki un hatho ko mehdi hi mila
Aur ?Avinash? ke hatho main chhalkte jam ho gaye .

Duniya to meri viran ho gayi
Mohababat ek jhoothi kahani ho gayi
Karke jhoothi ijhare mohababat
Meri janeman to sayani ho gayi
Har pal unke khayalo main rahta
Yah pagal dil ki nadani ho gayi
Unhe dil se kabhi chaha tha hamne
Wah bat ab purani ho gayi
Tanhai main ham tadapte hain aaj bhi
Magar wo rakibo ki rani ho gayi
Yah jindgi ham kaise jiye ?Dost?
Ab meri jindgi hi begani ho gayi?

Apne khwabo ki tabir ki khatir
Meri chhota sa sansar kyon ujar dala
Yad kar wo din ek isara par maine
Bhari mahfil main tujhe apni dulhan bana dala
Par thodi si gurbat ko dekh kar tum ne
Mujhe beijjat aur badnam kar dala
Maine hamesha tujhe pyar kiya hai
Par tune khun ke aansu rula dala
Tumhe rutha hua mahboob samjha tha main
Par tune mujh se bewafai kar kala.