Maine dekha hai tumhe jab se machalta dil hai
Kitna samjhaya na samjha ye kaisa dil hai
Tu to sota hai bade chain se shab bhar lekin
Lekin socha hai ye kis hal main mera dil hai
Kar diya maine tumhare hi hawale ab to
Chahe jis tarah rakho ab ye tumhara dil hai
Teri furkat main sanam hal bura hai mera
Mah-e-aab sa har waqt dharkta dil hai
Dekhna hai ki teri najre karam kab hogi
Sange dil tu hai to khuddar bhi mera dil hai
Meri bato ka bura aapne mana kyon sanam
Main jise chahunga dunga ye hamara dil hai?

Ashako ki shiyahi se likha tha pyar khat ka
Shayad wahi karar tha uske didar ka
Wo bhoole bhatke pahunch gayi mere kabar par
Usko pata mila tha sirf mere majar ka
Dafan dil ko mere karar(chain) na mila
Uthkar kiya maine swagat apne yar ka
Rooh ki milan ka usko ehsas tha
Lekin wo mauka nahi tha rasme bahar ka
Bhawnaye ashako main chhalki thi hushn se
Shayad wahi kinara tha uske khumar ka
Char phool rakh gayi wo tahe dil se
Usko bhi intezar tha apne ?Avinash? ka.

Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye
Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye
Ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha
Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye?

Ishq ne jala diya hai ,ishq karne walon ko,
zamana badnaam karta hai inhe na jaane kaise fasano se,
dunya ki bheed mein kuch rakha nahi ganwane ke liye,
sab kuch luta diya (kabir)phir bhi wo taane dete hain isharon se???

Har kisi sey jo hum ney wafa ki
Bus yehi zindagi mein khata ki

Jeene na degi ye Arzu meri mujhko,
katal kar har roj gujar jati hai yeah sham tamannao ki..
bhegi palko se na puch iskadar,
jakham ubhar aate hai ankhon se ruk ruk kar..

Har saans mein uski mehak saath hai,
in fizao mein uska ehsaas saath hai,
kaise kahu khudko tanha
jab har dhadkan mein uski yaad saath hai?

duniya ko is ka chehrah dhikhana padha mujhe,
pardah jo darmiyaan tha haathana padha mujhe,
ruswaiyon ka khauf se mehfil mein aaj,
phir is bewafa se haath milana padha mujhe