Zindagi ne daga de di hai,
Kisi ne saza de di hai,
Pata nahi kya hua unhe,
Wo bewafa wafa de gayi hai.

Dil ke aangan me koi aya he
Saath apne bhar laya he Har taraf phool

Dur ho gaye hamare chahne wale,
Yaad bahot aaye hume bhulne wale,
Mit gaye the hum jinki chahat mein
Wo kabhi laut ke nahi hain aane wale?

Na chedo hame hum sataye huwe hain,
muddatoin se unko bhulaye huwe hai,
musibat mein nahi deta koi saat kisi ka,
hum is zamane ko aajmaye huwe hai?

Meri wafao ka duniya kya sila degi
bahut karegi naya jakham ek laga degi
Mai sange mil hoon pathar nahi hoon raste ka
Ki jab bhi chahegi duniya mujhe hata degi
Dilo ki shama jalate chalo ki iske siwa
Chirag jo bhi jalenge hawa bujha degi
Tumhare jahno par tari hai khauf ka aaseb
Batao kaise tumhe jindgi sada degi
Wah chashme naj bahut fitna saj bhi hai ?Aashiq?
Na jane jurme mohababat ki kya saja degi.

Hai khata meri mohababat sanam tumse kar baithe
Dil tumse lagakar rote hain hai ye kya kar baithe
Auro ka gila kya jab apne hame barbad kar baithe hain
Pagal to diwane hote hain, ham hosh mai diwane ban baithe
Jite hain unki mohababat mai, isiliye har sitam sah baithe
Mohababat ki meri kadar na ki, aur ruswa hame kar baithe
Ehsas jab hoga pachhtaoge, dhundhoge hame par na paoge
Bhul pe apni nada honge, ki hai ye kya kar baithe
Par jakham tera to tabij bana kar gale laga baithe
Pathar ho tum, ham ?Avinash? jo har dard bhula baithe.

Wo chhup kar bethe the,
jab hume unki chah thi,
hume bhi usi waqt aani thi maut,
jis waqt unhe humari talash thi,

bewafa dil ki rahon me na bhatke hote,
sisse se najuk dil ko sine me chhupa ke rkhte,
agr hum karte unse bewafai,
to aaj iss kabr me na lete hote.

dua krta hun ki koi pyaar na kre,
agr dil kisi ka tutte to fryaad na kre,
bewafaao se wafa ki tamanna rkhne wale,
kal meri kabr ke paas teri bhi na mile.