Unke pyar ne hame iss kadar diwana bana diya
Khud ko bhul gaya, mujhe khud se begana bana diya
Jab se wo chale gaye hamse juda hokar
Dekhne ki hasrat rah gayi, mujhe aisa aaina bana diya
Najar nahi aata iss gam ke dhue main kuchh bhi
Tadap gaya raushni ke liye mujhe aisa parwana bana diya
Log kahte hain dard kam hota hai sharab pine se
Jaha dard hi dard hai mere jivan ko aisa sharab khana bana diya
Manjil hai kaha hame kya pata
Har cheej se bekhabar mujhe ?Anjana? Bana diya.

Dil main lagi aag to bacha kuchh nahi
Tum kahte ho abhi jala kuchh nahi
Apno se tang aakar agar hath main
Koi talwar utha loon to bura nahi
Kab mitegi ye majburiyan mere dil se
Tum batao mujhe ab pata kuchh nahi
Tumhari tasvir chha gayi hai mere dil main
Mere dil main aakar tumhe to hua kuchh nahi hai
Tumhare karib aakar laut jati hoon main
Lekin aaj tak tumse kaha kuchh nahi hai
Tu mane ya na mane sach hai iss duniya main
Daulat ke samne ab iman kuchh nahi hai
?Sanam? tumko bhi mujhse kuchh na mila
Kash! gam ke siwa mere pas raha kuchh nahi hai.

Ab dua main khuda se kya mangu
Ab gairo ki ho gayi wah use main kaise mangu
Wafa ka wasta dekar bewafai ki jisne
Uss se apni mohababat ka haq kya mangu
Jan bujh kar anjan ban gaye jo
Uss se milne ki dua kya mangu
Mohababat main hamne ranjo-gam uthaye hain sada
Sanam ke khush rahne ki dua kya mangu
Jise main chahta hoon use kismat chhin leti hai
Tum kaho dosto main dua main kya mangu.

Dard ka fasana labo se gungunane laga hoon
Bas isi tarah se gajal banane laga hoon
Shero Shayri ki madhumay tapish tale
Dil jakhme kalam kagaj pe chalane laga hoon
Ulfat main mile dag jo ruswaiyan ke sath-sath
Alfajo ke marham se ab mitane laga hoon
Bhoole to kaise bhule un baharo ke din ko
Di pyar ki har shay ko khud jalane laga hoon
Tune kiya saluk jo rahe mohababat main
Harjai, Bewafai jahan ko batane laga hoon
Ab rah sakegi kaid na khamoshiya ?Sanam?

rafta rafta us ko bhi ye duniya raas aa gye
muskra k woh mila hy ranjishon k baad bhi

Dur rahkar mujhse waqt bitaya na karo
Bahut rula chuke ab aur rulaya na karo
Diwana hoon main tera, Pagal nahi hoon koi
Mujhe marne ko pathar uthaya na karo
Chale aao khuli hai dil ki khidki tere liye
Darwaja kisi aur ka khatkhataya na karo
Bhikhari hoon pyar ka main koi tamasha nahi
Hans-Hans ke yun taliya bajaya na karo
Dil to kho diya hai, Meri jan bhi chali jayegi
Pyar ko mere iss tarah thukraya na karo.