Ashq rukenge nahi aankhon main aaya hi karenge
Fasana bewafai ka jahanko bataya hi karenge
Fankar lakh chahe gito se nijat
Saj-E-Jhankar pe kuchh gungunaya hi karenge
Jakhmi dil ki karah tum tak pahunche na pahunche
Ye shero ka guchhe tum tak jaya hi karenge
Paida hote rahenge tum sa jahan main jab tak
Mohababate chirag yun hi bujh jaya hi karenge
Likhte rahenge ?Avinash? Hum hal apne dil ka
Ban jaye nek gajal to log gaya hi karenge.

Is Tarah Dil Ko Teri Yaad Se Behlatay Hain,
Raat Bhar Teri Har Ek Baat Ko Duhratay Hain,
Hum Teri Yaad K Taptay Hue Sehra Mein,
Khushk Paton Ki Tarah Roz Bikhar Jatay Hain?..!!!

Woh Sham Woh Rukhst Ka Sama Yaad Rahega,
Woh Shehr Woh Safar Woh Makan Yaad Rahay ga,
HUm Bhool Sakay Hain Na Tujhay Bhool Sakeingay,
Tu Yaad Hai Yaad Tha Aur YAad Rahega?!!!!

Parda isliye na karo ki tum bahut khubsurat nahi
Utha do chehre se nakab hum kahte hai tum badsurat nahi
Meri hi gajal ho tum mere pyar ki dayri
Pal-pal gungunata hoon jise, tum ho meri wo shayri
Hum kahte hai ki parda karo to pura karo e ?Gulnaz?
In nashili aankhon se hamko na ghura karo
Ham to mar mite hain tumhare hi pyar se
Hamko roka karo na yun bhare bazar main
Jab se hue hain unpe fida ek ?Avinash?
Jab maja aata hai unke didar se.

Muflisi (Garibi) main bhi mohababat ka badle mange hain
Yad main wo apni ek tajmahal mange hain
Khun-e-Dil kam hai kaise jalaun main chirag
Mera mehboob roj nayi gajal mange hain
Dard ki jhil main laun main kahan se raunak
Mere haste hue chehre ka kawal mange hain
Main hoon ek ret ki diwar na gir jaun kahin
Mujhse pechida Masayal ka wo hal mange hain
Dil hai pathar ka ?Avinash? Uska takaja dekhiye
Apne rahne ke liye shish mahal mange hain.

Mehdi rache hatho se kam kaise ho
Rahi ho par na mukam kaise ho
Jakhm lage hain kitne gahre kya kahoon
Hotho se apne ye bayan kaise ho
Sajde main kyon sir jhuka tha kya kahun
Khuda se jaise puchh raha tha kaise ho
Char din ki chandni main chamka khub
Manjur andhere ka kamyabi mukam kaise ho
Pira itni jhel li thi usne jiwan bhar
Milne par bhi nahi puchha tum kaiso ho.

Yahan bewafai ke siwa kya hai wafa ka sila
Dil laga ke dekha hai maine, Mohababat main dhokha mila
Berukhi sanam ki luta meri khushiyon ka karwa
Majburiyan tadapne bhi nahi deti karu kis se gila
Dekhte hai ghur-ghur ke sab gujarta hoon jis gali se
Dayre jist main hai ruswaiyon ka silsila
Tabas-sum kayam hai chehre pe fir bhi
Tabdil hua khandhar hai hay dil ka kila
?Avinash? kayar nahi mar jaye khake jahar
Dekhna banki hai bahut duniya ki lila.

Mere bewafa sanam bewafa hota
Aaj na yun hal hamara hota
Log kyon mujhko bura kahte
Aaj agar wo hi bhala hota
Main bhi ek jindgi jita yaron
Usne chahat ka jo jam pilaya hota
Main bhi kyon dar-badar thokre khata
Aaj agar usne sine se lagaya hota
?Dost? jindgi sukun se gujarti
Agar dil na uss bewafa se lagaya hota..