`
Bewafai UsKi Mita Kar Aaya Hun,,
Khat Us K Paani Main Baha Kar Aaya Hun,,
Koi Parh Na Lay Us Bewafa k wadaun Ko,
Is Liye Pani Mein Bhi Aag Laga Kar Aaya Hun.
`
Kitni Saji Hai Bewafai Teray Masoom Chehray Par.
Hum Bhi Pagal Thay k Is Adaa Pay Mar Gaye?
`
Mera Taajub Ajab Nahi Hai.
Wo Shakhs Pehle Sa Ab Nahi Hai.
Wafa Ka Kya Gila Karon Main Us Se ?Ghalib?
Wo Mera Tha Kab Jo Ab Nahi Hai?

Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
Jisko chaha usae hum pa na sake,
Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake,

Apne khwabo ki tabir ki khatir
Meri chhota sa sansar kyon ujar dala
Yad kar wo din ek isara par maine
Bhari mahfil main tujhe apni dulhan bana dala
Par thodi si gurbat ko dekh kar tum ne
Mujhe beijjat aur badnam kar dala
Maine hamesha tujhe pyar kiya hai
Par tune khun ke aansu rula dala
Tumhe rutha hua mahboob samjha tha main
Par tune mujh se bewafai kar dala.

Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,
jab aai mout apni to usse raha na gaya,
aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi chhod diya????..

Bewafai ki kya dava hai yaroo!
Kush kismati uski jiski
Mayyath nikli mehboob ki gali se?.
Bathkismathi uski jiski
Mehboob ki baraath nikli uski gali se?.

Meain Mohabbat Se Nahi Wafa Se Darta Hooo
Jise Toot Ke Caha tha Us-Se Wada Karne Se Darta Hooo
Meri kuch To Majboriya Ho ki Jo Meain Ujale Se Darta hooo?.

Tanhai mein khat aus ne mera padha hoga
dil aus ka bhala kaboo mein kaise raha hoga
jab sakhyon ne ause majboor kya hoga
tab sarmake naam aus ne mera liya hoga
jab ratoon ko yaadon ki purwai chali hogi
aus ke dil-e-nazuk mein tufaan uttha hoga
ek awara shayer kehtein hai jise Hanan
akhsar tumhe apne khawaboon mein mila hoga?