`
Humare Muskurane ki Wajah Tum Ho,
Hamare Zindagi ka Matlab Tum Ho,
Agar Chor Diya Saath Hamara To Samajh Lena
K Hamari Maut ki Waja Bhi Tum Ho.
`
Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar k Naam Se
Bewafai Mili Sirf Wafa k Naam Se
Zakhm He Zakham Diye us ne Dawa k Naam Se
Asman Bhi Ro Para Meri Muhabat k Anjam Se.
`
Sab Kuch Hai Mere Pas Per Dil ki Dawa Nahi
Door wo Mujhse hai Per Main Khafa Nahi.
Maloom hai Ab bhi Pyar Karta hai Mujhe.
Wo Thora Ziddi Hai Magar Bewafa Nahi.
`
Rehte Hain Hum Door to Kya Hua,
Hum Juda to Nahi,
Baat Nahi ker Sakte to Kya Hua,
Hum Khafa to Nahi,
Na Nilna Hamari Majboori Hai,
Per Hum Bewafa to Nahi?
Juda wo Hue pr Hum Nahin,
Khafa wo hue pr Hum Nahin,
Ek Hum He the Jo unse Pyar Karte Rahe,
Bewafa Woh The Par Hum Nahin.
`
Dil K Qareeb Aa K Jab Wo Door Ho Gaye,
Sary Haseen Khawb Mery Choor Ho Gaye.
Humne Wafa Nibhai To Badnamiyan Mili,
Jo Log Bewafa Thy Wo Mashhor Ho Gaye.
`
Guzry Dinon Ki Bhuli Hui Bat Ki Tarha
Aankhon Main Jagta Hai Koi Rat Ki Tarha.
Us Se Umeed Thi K Nibhaye Ga Sath
Magar Woh Bhi Badal Gaya Mery Halaat Ki Tarha.
`
Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah
Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm
Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Ek Bewafa Se Ik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai.
`
Juda Honay Ka Andesha juda hony se pehle tha,
Wo mujh se intehai khush khafa hone se pehle tha,
Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,
Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
Bohat hi ba?wafa wo bewafa hone se pehle tha.